Samandar : khamosh hu
Samandar ko dekhne pr kitna sant lgta hai jaise ki sare janha
ki santi vanhi pr milta hai . samndar ke chhor ko dekhne pr aisa lgta hai jaise
ki aasman aur samandar aapsa me mil rhe hai.. hum logon ne lekin ab samandar me
bhi ab apni jabardasti ghuspait krne lge hai. Kai desko me samandr ke bich me
ab manviya basti bnanane ka prayas kiya ja rha hai aur kai jagah pr ye kam ho
bhi chukka hai.. samnder ke sant swarupo ka fayada utha kr aaj kakl uski santi
bhan krne ka bhi kam kiya ja rha hai jisse ki samndar ka sina chir ke vanha se
oil aur indhano ka khoj kiya ja rha hai jaise ki mano hum samndar ko chherh rhe
ho.. roj roj badhti hui humari gatividhiyo se samandar ko hum roj chhati
pahucha rhe hai.. jaise mano samandar koi aadmi ho aur soch rha ho ki jitne bhi
makan sahar bsana hai bsa lo janha pr mere rah rokna chaho rok lo mai to
samndar hu jab tk sant hu tab tk to sant hu jis din mera mn mere bs me nhi rha
us din hi sb ko mujhme hi samahit kr lunga.. mere jaliy jivan pr njre garane
vale manusyo jis din main ajar lgaunga us din dekhna sara jagat kaise pani pani
hota hai aabhi chup hu khamosh hut b tk tumhare atikraman ko sahan kr rha hu
jis di lgega ki ab intihan ho gyi sahne
ki us din sab kuchh vapas le lunga… kyuki mai to samandar hu aur abhi khamosh
hu…..||