Jangal
humara ghar Hai……
Jangalo se ab jangli janvar shahro
ki or rukh krne lge hai.. ek bhi din aisa nhi jata hai ki ye sunne ko na mila
ho ki hathiyon ke jhund ne khet khalihan aur gaon me machai tabahi aur ye bhi
sahr ke bich galiyaro me chahkadmi krte huye dikha bhagh aur ghar me ghusa
tenduaa… in khabro ko sochkr hum dahal jate hai ki kaise ye khunkhar janvar
shahro ki or rukh kr rhe hai aur is mudde pr baith kr ghanthum bahas krne bhi
lgte hai.. pr kbhi bhi ye vichar nhi krte hai ki ye janvar aakhir shar tk aaye
kaise kyu ye sb hua.. jab ki saaf saf najar aaata hai ki hum shahro ko jangalo
ke andar le aaye hai vano ki katayi aur vano ka hum vinash krte rhenge to
jangli janvar rhne kanha jayenge ye kbhibhi humare vichrome nhi aata. Manav
sabhyata aise ho gyi hai ki janha jagah khali nhi mila ki kbja krne ki hod mch
jati hai aaj humari badti jansankhya any jivon ke jivan keliye khatre ki
ghantiya baja rha hai jaise ki kai aise jiv bhi hai jo vilupt ho gye hai aur
kai aise bhi jiv jantu hai jo ki vilupt hone ke kgar pr khade hai agar hum aise
hi andha dhundh janglo ka vinash krte rhenge to ek din aisa bhi aayega ki hum
hi bus bchenge is prithvi pr aur sara paristhitik tantra tut chukka rhega jisse
ki jivan aur bhi durgam ho jayega aur vo din dur nhi jb prithvi pr jivan ka
aans tk bhi mit jayega… vano ka hum vinas krte jar he hai jisse ki jangli
janvaro aur manav sabhyata ka aksar sanghars hote rhta hai aur isse jan dhan ki
km balki paryavarnik smapda ki jyada hani hota hai.. isliye jangal ka vinas
krna km kre aur prithvi ko sanrakshit kre.. jaise mano jangali janvar ye btane
aate ho ki Jangal humara ghar hai ise to nast na kro krke janvar hume samjhane
aate honge………. Pr hum kanha samjhne vale hai……. Abhi bhi samay hai sambhal
jao………..
“SAVE JANGAL”