Ghar ho mera Sapno ka……
Parivar manav ke liye sbse bdi ikai hai use samajik prani
bnane ke liye aur aavsayak bhi hai… pr kbhi ye khyal aaya hai ki hum to apne
ghar me khus rhte hai aur hr utsav ko dhoom dham se mnate hai jaise holi,
divali, rmjan,krismas aur guruparv sb ko mante hai pr kbhi un logo ka khyal
apko aaya hai jinke maata-pita nhi hote hai aur vo anathalay me rhte hai aur
usi parivesh me aapne ghar ke parivesh ka talas krte hai.. ek aisa hi kuchh
ghatna hai jab mai ek nanhe se bacche se mila uski aayu yahi koi 4-5 saal ka
hoga use utna samjh kanha tha ki vo kisi aanthalay me rh rha hai krke uske kore
mn me anek vichar aate aur kbhi mai usse charcha krta to mujhse jyada kuchh to
nhi kahta han pr ek bar ki bat yaad hai jab koi use adopt krne vanha aaye the
to usse kisi ne btatya ki ab tum apne ghar jane vale ho baba to vo bahut khus
tha vo bar bar kahta ki mummy ko mai bahut sara khilouna lene ko bolunga
superman ki toy aur paltu billi karidvanga kah rha tha. Aur kahne lga ki abs
one ke liye aankho me aadhu nhi balki maa ab thapkiya de kr sulayegii kitna
accha hoga hai na bhaiya aur papa bhi mujhe pyar krte hai pr main a suru suru
me unse bat nhi krunga kyuki mujhe yanha bodding me lake daal diye hai aur sbse
milunga dada dadi aur chacha chachi sb hone na bhaiya…. Maine sirf han me sir
hila diya..
Baad me vanha se aane ke baad mn me khyal aaya ki such me golu ke sapne
kitne anmol hai ye umra bhi hota hai sapno ka aur kisse kahaniyo samaj me aise
baccho ki sankhya bhi bahut bd rha hai pr mere khyal se jab tk acche log hai tb
tk aise bacche kbhi anath nhi honge aur unke sapne kabhi adhure nhi honge kyuki
pure honge sapne kyuki milega unhe ek ghar sapno ka………….