Mahangai Dayan khaye jaat hai……
Aaj kal duniya me do hichijoke
jyada chrchayen ho rhi hai ek to pradushan aur dusri mahangayi.. pta nhi aaj
jamne me kya aag lga huaa hai ki hr chijo ke dam aasman chhu rhe hai jaise mano
rocket se pahle mahangai magal pr pahuch jayega aisa lgta hai.. pahle to
20rupye ke sabji me thaile ka bojh itna ho jata tha ki ghar tk aane ke liye
rikasha krna pdta tha ab to 20rupye me sabji lene ke liye sochna pdta haiki
koun si sabji is daam pr aa jayegi.. itna hi nhi 40rupye to rahal kid al ki
kilo tha jo ab chand pr pahuch gya hai itna bd gya hai.. mn me vichar aata hai ki vaigyaniko ne
saste dam pr mangal pr mangal yan to bhej diya pr kya saste damo pr niyantran
ho aisa koi aavishkar abhi tk nhi kr paye hai… maine chhota sa vishleshan kiya
jisme maine dekha ki mahangai ki bdhotari me khas kr thonk vyapariyo ki hi mili
bhagat hota hai kyuki jaise hi bajar me sabjiyon kimang badti hai vaise vaise
daam bhi bad jata hai vo kahte haina ki jis chij ko log nhi pa sakte hai use
pane ke liye kuchh hi kr jate hai ye to khane pine ki chije hai sahab iske liye
log 2 kya 10rupye adhik de sakte hai isiliye jamakhor log saman ka sortez kr
dete hai jisse ki vo chij bajar me nhi rhta aur mang tez ho jati hai jaise bhaw
bad jate hai tb us saman ko dhire dhire krke bajar me utara jata hai jisse ki
uska 4-5guna jyada munafa kmaya ja sake… aur hum log kahte hi rh jate hai ki
sakhi saiya to khub hi kamaye jaat hai pr mahangai dayan khaye jaat hai………………