Maa:
teri shaya hu
Santan
har mata& pita ki ek amulya ratn hota hai.sabhi mata pita chahte hai ki
mera beta ya beti hmesha khusi se rhe aur nirog rhe.. hr maa ke liye uski
santan uske kaleje ki tukde ke sman hoti hai.. pr pta nhi kyu kai aise bhi
palak hote hai jo apne baccho ke sath dur vyavhar krte hai khass kr garibi me
jivan yapan krne vale mata pita apne baccho se kaam krate hai, jyada ho gya to
nannhe nanhe baccho ko kachre ke dher se plastic aur lohe ke tukde chunne ke
liye bhej dete hai.. aaj kal ye ghatnaye aam ho gyi hai jaise ki aap kisi
station ya kisi bhi sahar me jayiyega to vanha chhote chhote bacche apko ye
kahte jarur najar aa jayenge ki sahab 2 din se khana nhi khai hu km se km
2rupye dedo.. aise baccho ko dekh kr dil me darrd bhi hota hai kbhi kbhi mn me
vichar bhi aata hai ki in bacchon ko abhi school me hona chahiye to ye bacchiya
aaj sarak pr bhikh mang rhi hai.. vichar ye bhi aata hai ki ho sakta hai ki
mata pita na ho is karan bhi ye logon ki
halat aisi hui ho pr kbhi saval kijiyega koi na koi aisi bacchi jarur milegi jo
apke sare svalo ka jawab degi.. jab aap puchhenge to vo btayegi ki papa sarab
pite hai aur paise nhi lejaungi to mujhe aur mummy ko dono ko marte hai…itna
sunkr aap snn jarur rh jayenge aur sochenge ki ye kaise mahoul se gujar rhi
hai… aise bacccho ko hum sahanbhuti to de dete hai pr sahara nhi de pate kass
kbhi aise logon pr jo baccho se bhig mangwate hai un pr karvai ho to desh ki
halat aur badal jaye……Un nanhi pariyon ke aankho me dekhta hu to unka dard bhi
bahut gahra lgta hai jaise ki pita ka paise ke liye bacchiyo ke maa ko marte dekh un bacchi pr kya bitti hogi
sayad maa ke dard ko km krne ke liye vo vivash hokr hi aise kamo me lg jati hai
sayad maa ko apni ye kah kr dilasa deti hongi. Ki maa : teri saya hu. Chot
tumhe lgti hai to dard mujhe bhi hoti hai maa kyuki mai teri saya hu…….