Aatma
: dukh se bhari hui
Ek
maa ki dard ka ehsah apko byan kr rha hu.. jisme unke sath huye atyachar aur
dard ki tathyatmk swarup aapke samne rkh rha hu…..
Mai maa hu. Aaj mai hr
kanhi apne aap ko akeli khadi pa rhi hu. Mai jab pet se thi tb to sabhi ne
mujhe apna samjha. Sabhi mujhe chahte kitni khush thi mai. Mere pati mere
parivar vale sabhi ki jaise mai aankho ki tara bn gyi thi.. jab maine pahli bar
apne pati se kaha ki aap papa bnne vale hai to kitna khus huye the. Kitna
uchhal pde the meri devarani to pure ghar me ye chillate fir rhi thi ki mai
chichi bnne vali hu is ghar me chichi chichi ki gunj jald hi sunai degi.. mere
sasur ji bhi khus the.. dhire dhire waqt bitte gyi aur sb kuchh aise hi chalta
rha mai bhi bahut khus thi. Mere mayke se nannhe mehman ke liye khilaouno ka
dher leke mere sbhi parijan aaye.. mujhe lga ki jaise ek pal ko ki mai to bavri
ho jaungi. Log mujhse kitni mohabbat krte sbhi. Mere mn me ye vichar aai ki
such me kisi me hi kaha hai ki swag yanhi hai.. din aise hi bit rhi thi dhire
dhire mere andar basi ish duniya ka nya mehman aakar le rha tha aur bad bh rha
tha.. mai to sarma hi jati thi jab aane vale mehman ke papa mera pet chhu kr
kahte ki lat maar rha hai mai to ab jyada kam nhi kr pa rhi thi fir bhi jab bhi
tahalne nikalti to jaise mera devar choukidar ki tarh mere aage pichhe rhta
bolta bhabhi is halat me ghuma fira mat kro. Meri sasu-maa bhi km nhi thi.
Khane se bhare pahad lekr mere pichhe lgi rahti kahti ki bahu abhi nhi khaogi
to baccha kaise rhega bechara bhukha pyasa tumhare anadar.. vo tunnak kr bolti
ki mujhe to baccha golu molu jaisa hi chahiye vo padosh ke gupta ji hai na unke
yanha ke bacche se bhi jyada khubsurat ho humara varies aisa kahti mai mn hi mn unki bate
sunkr has padti.. ek din sam ka waqt tha mere pati aaye thoda jaldi jaldi me
the mujhe hospital le gye mai sochne lgi ki ho skta hai koi test krana ho mujhe
kya pta mai to pahli bar maa bnne vali thi.. ek machin mere pet ke upar docter
sahiba ne chalayi. Mai sab kuchh chup chap dekh rhi thi. Kbhi mere pati mere
tarf dekh kr muskurate kbhi sant ho jate mai sb dekh rhi thi. Kuchh der bad
unke chehre se his gayab thi. Hum ghar aaye tb bhi unhone kuchh nhi kaha mai
chup thi . fir raat hui pta nhi ghar ka mahoul hi badla badla sa lg rhi thi. Sb
na jane kaisi khamoshi ki chadar odh liye the mai bhi chup thi agle din subah
hui mujhe unhone kaha ki jaldi taiyar ho jao kanhi jana hai. Mai taiyar ho gyi
hum dono kanhi dur ja rhe the ye soch rhi thi pta nhi koi ajib si jagah thi
janha hum gye vanha gyi to koi mahila docter thi unhone mujhe ander chalne ko
kaha… 1Ghante baa duff jaise mujh pr
aur mere bacche pr koi danav ne najar lgaya ho vaise hi mahsus kr rhi thi mere
kokh suni ki ja chuki thi.. mai dard aur dukh se pidit thi kahti bhi kisse jo
mere apne the unhone hi mere kokh ujad di mai to jaise sadme me thi bahut bde
sadme me… sahm gyi. Hum ghar vapas aa gye pr meri mn ki pida vanhi us jagah pr
hi jar hi thi janha pr mere kaleje ke tukde ko aalag kiya gya tha.. mai sochne
lgi ki dosh kiska hai kya vo nanha farista kya ladki hui to bus sab kuchh jaise
mujhse chinne lge… meri halat pr koi mere sath nhi tha ghar me jaise ki ladki
aati to kya vo ghar ke logo ki dusaman bn jati mai ye soch rhi thi. Kaise log
badl gye sab us bacche ka kaise intezar kr rhe the hey raam tum hi btao kya
beti hona itna bda gunahhh……….. such me meri iss dukh me sath na koi……..
Ye ek
maa ki kahani hai mere lichar se aisa hi darrd hota hoga jb koi maa ko uske
bacche se aalag kiya jata hoga……. Kitna dard hota hoga aap bhi samjh sakte hai
btaiye ga ye post apko kais alga aap sabhi ke uttar ki pratiksha me hu….
Har baccha chahe vo ladki
ho ya ladka ishvar ki den hai……
“save girls”