Beti padhao
: Beti Bachao
Humari desh
ki jansankhya me lagbhag 50% ka hissa mani jane vali mahilayen aur betiyon ke
shikshan graf pr dhyan de to pta chalta hai ki purusho ki apksha mahilaye jyada
ashikshit hai. Hum sochte hai ki humara desh tarakki kr aur hum duniya me
visvsakti vale desh ke roop kme ubhar kr samne aaye pr ye kanha tk ho skta hai
iska mul tathya itna hi hai ki jab 50% ki jansankhya me education ki
pratissatta hi kamjor ho to hum kaise kah sakte hai ki hum sbse bde desh aur
samridh desh ke roop me duniya ke samne ubhar ke aaa skte hai. Ye sochna bhi
janha tk possible nhi ke saman hi lagta hai….
Khas kr gramin anchal
aur kasbo me betiyo ko school bhejne me mata pita katrate hai kahte hai ki do
char kitabe pd lengi tb bhi kya kr sakti hai betiyan to paraya dhan hai unhe to
ek din sasural jana hi jana hai.. aise sonch ki vajah se kai log apni betiyon
ko nhi pdhate ye soch kanha tk sahi hai jra soch kr dekhiye.. Ek sikshit beti aur ek ashikshit beti ke samajik
vyavhar ka aadhyay kre to ap payenge ki
jo padhi likhi beti hai vo aapne parivesh aur logo ke bich souhadrata
purn vyaavhar rakhti hai apeksha krit nhi pdhilikhi beti ke…
Siksha koi nokri
pane ka sadhan nhi hai balki shiksha se hi manushya apne hit ahit aurr naitikta
vadita ka gun sikh pata hai kai logo me ye bhi bhrentiya dekhne ko mila hai ki
pdhai ke val vahi log krte hai jinhe noukri krni hai aisa bilkul nhi hai jiwan
me padhai ka alag hi mahatv hai… aaaiye shiksha ke ujiyare ko hum pure dekh me
failaye beti pdhaye beti bchaaye…………