Kajal ka tika taiyar rkhna: maa
Aaj bharat
jaise loktatrik desh me betiyo ki brun hatya kiya ja rha hai. Logon me njane
betiyo ke prati aisa vyavhar kyu ye samjh nhi aata. Sahar ho ya gaon ya fir ho
kasba beti ke janm utsav ko mnane me bhi log parhez krte hai.. kai ilako se ye bhi
khabar milta hai ki jaise ki kachre ke dibbe me brun mila ya fir kachre ke dher
se bacchi mili. Bhagvan hi jane ki vo kaise apne kokh se janmi bacchi ko ko
aise fek dete hai. Kabhi kabhi ye bhi sunne ko mil jata hai ki betiyo ke paida
hone se mahilao ko mara pita jata hai pratadit kiya jata hai.. kabhi ye bhi pta
chalta hai ki koi mai apni bacchi ko kisi mandir , anathalaya ya sarvajanik
sthano pr chhod deti hai. Jankr dukh hota hai ki kisi maa ne hi apne bacchi ko
mar dala. Ankhir betiya to betiya hoti hai.. ek kahavat hai ki ek ladke ka hona
bhagya hai aur beti ka hona soubhagya hai.. fir us 100 bhagyon ke barabar vali
beti ke jiwan jeene ka bhi jra sa bhagya nhi hota hai kya ye sochna hr inshan
ka kartavya hai… ek janwar bhi apne bacche ki raksha ke liye dusre janvaro se
lad jati hai.. kya humme itni bhi inshaniyat nhi hai ki hum ek beti ko duniya
me aane ke dusman bn gye hai.. humme kya itni bhi sharm nhi ki hum betiyo ki
hatya ab kosk me hi krne lge hai…
Vo jo nanhi par jisne maa ki
kokh me 9 mahine bitaye hai is duniya me aane ko kya hum itne patthar dil hogye
hai jo uski hatya krne ko aamaada ho jate hai.. nhi jra sochiye kya is tarh se kisi ke jine ka
haq marke hum apne aap ko hatyara nhi smjhte…
Ab to aisa lgta hai jaise ki kock me
beti ki janm hone se pahle hi beti maa se kahne lgi ho ki maa mai aa rhi hu
kaajal ka tika taiyar rkhna. Kyuki teri najar lge na lge papa ki najr lg gyi to
is pyari duniya ko kaise dekh paungi maa. Isliye kaala tika taiyar rkhna
maaa. Hr kisi ki ko jivan jine ka haq
hai aise hi betiyo ko khud se juda krte rhoge to shakshi malik aur P.V.Sindhu
jaisi betiya kanha se paoge….
“SAVE GIRLS”