aaj kal ke fancy chalan ko dekh kr yakin nhi hota. aaj logo ko aaj kal bina bat ke gussa krne ka chalan bahut jyada hai. samjh nhi aata ki ankhir yun inshano ko gussa aata bhi hai to kyu aata hai. maine aabhas kiya hai aaj kal log njane kyu bato hi bato me gussa ho jate hai. kal ki bat hai auto driver ek raste se ja rha tha achanak hi uske samne ek aadhe umra ka koi vyakti gujra vo bhai sahab (auto driver) gaadi rok kr use gussa krne lga. bolne lga ki marna hai kya aaja abhi mar deta hu... bhgvan hi jane kis chij ka gussa us pr nikal rha tha. aaj kal to jaise chalan hibn gya hai ki mai gussa nhi krunga to mujhe koi pahchanega nhi. ek yahi koi 19-20 saaal ka navyuvak hoga. bus pr chadha condecter sahab ne kaha bhai kanha tk jana hai ticket do usme kisi jagah ka address btaya aur 500Rs ka not diya condecter ne use banki paise vapas kiye pr ek not fataa hu tha to us bat ko lekr gahma gahmi bus me machane lga bolta hai ki tum bus stop tk to pahuch tujhe btata hu tu pahuch to sahi tujhe batata hu pr jaise taise krke un dono ka jhagda sant hua. pr mere mn ki jigyasha kanha sant hone vala tha mn me vichar umad rhe the ki ankhir ye bus stop pr pahuch kr kya btane ki dhamki de rha tha ankhir bus stop pr pahuch hi gya vo ldka chup chap hi utar gya. sahab ye bat mujhe bilkul bhi yakinn nhi huaa ki jo aadmi itna gussa dikh rha tha vo santi se kaise chale gya.
aaj kal ke is aapadhapi vali duniya me hum reality me bahut hi chid chide mahoul ke sikar ho gye hai.kahne ka matlab ye hai ki hr bat ke liye tension lene lg jate. teacher ne bacche ko home work kya diya baccha lene lga dipression, halka sa parents ne na dat diya ki sir pr lete hai tention ankhir kyu pta nhi.. job ki ladai ho , berojgari ki gavahi ho ya ho shadi ki sahnai har kanhi bus dipresion.... yakin nhi hota hai sahab ki hum kis duniya me jee rhe hai koi jine ke liye pita hai koi pine ke liye jita. koi gum me bhi muskurata hai to koi muskurate muskurate gum leta hai. koi kah kr pir btata hai dil ka koi pir me dil ko dubota hai,
yakin nhi hota hai ki hum social media me aise kho gye hai ki social hona hi bhul gye hai. kanha pahle dada nani ke kisse kahaniya aaj bus pokemon aur doremon ki life me hisse. life ko hum cartoon ki tarh jite hai ya fir cartoon dekh ke pta hi nhi chalta hai.....
speecker ke bojh me kandhe hai. 3D ke chakkar me aaj kal waqt ke liyeho rhe hai hum andhe.. lakh ho waqt pr bhudhi maa ka phone to gusse se hai hum kahte bad me bat krta hu abhi busy hu............
Sahab ! such me yakin nhi hota...