Sahab aaj
bhi hum log bahut se paresaniyo se ghire huye hai. Jaise ki Nation surksha ko
lekr aaj bhi hum sahme huye huye. Aaj Chhattisgarh, Bihar, Odisa,
Madhyapradesh,P. Bangal jaise states me aaj bhi naksaliyo ne apne pair jam rkhe
hai. Kanhi se bhi news aata hai ki aaj yanha nakasaliyo ne hamla kiya vanha
nakasaliyon ne humla kiya. Ye sochna lajmi hai ki nakasalivichar dhara ke log
chahte h kya? Janha kanhi bhi sirf aur sirf nar sanghar krte rhte hai isse
kisko fayda hota hai aur na jane kise inhe annad milta hai. Kya jaruri hai ki
nakasalivichar rakhne valo se darn eke liye sayad unke laal aatank ka hi darr
hai ki bihado me un logo ka raaj ya yun kahu to jangal raaj chal rha hai.
Ankhir laal aatank ka kya samna sirf aur sirf police aur prasasn hi krna
chahiye ye sochkr hum apne kadam chhupa le ye kanha tk sahi hai.. jra sochiye
nakasaliyon ki vichar dhara kanha se aage bdta hai purane nakasaliyo ke bad
unke uttaradhikari koun hote hai kabhi vichar aaya hai. Sahab ! vichar kre to
sahi nakasali logon ko unki vichardhara ko aage bhavisya me chalane ke liye vo
log baccho ka sahara lete hai nannhe nanhe baccho ke hantho me banduk aur kale
kapde aur chand rupyon ka sahara dekr unke brean wosh kr nakasli bnaya jata
hai.. jo mul vichar dhara se hat kr nakasli vichar dhara ko hi manne lgte
hai.. Bde dukh ki bat ye hai ki jangalo
me rhne vala koi balak laal aatan valo ke sampark me ya to darr ki vajah se
aata hai ya fir paiso ki lalch se ya fir apharan krke unhe nakasli bnaya jata
hai… jaraa sochiye sahab ! ki jab khabar aata hai ki amuk jagah pr nakasliyon
ke sath police ka muthbhed huaa jisme 2 police ke javan sahid huye aur 4
nakasali dher ho gye.. ye ek manav ke hisab se sonche to kya ye bat nhi
jhalakta ki jo bhi sahid huye ya jo encounter me mare gye hai kya vo kisi ke
bête, bhai, pita,putra nhi honge . ek
Hindi cinema ki film ki yaad aata hai film ka nam- “Krantiveer” hai. Jisme
Nanapatekr sahab ne bahut hi abhinay kiya hai us pic me hindu aur muslim ko
ekta ka path padhate huye Nana sahab kahte hai ki mera khunn aur muslim ke hath
ka se nikla khun dono hai isme se hindu ka kounsa khunn hai aur muslim ka
kounsa hai nikal kr btao. Sach me kitna marmik dhrisya filmaya gya hai.
Vaise hi
sahid huye jawan aur us encounter me
mare gye nakasli dono ke khunn ka rang bhi laal hi hota hai…. Ghaw ghaw hi hota
hai…. Samaj virodhi aur samaj sanrakhi dono aise lgte hai mano Lahoo ke do rang
ho inshaniyat ke nigah me…
Sabhi
Nakasal prabhavit states me mukhya dhara se alag huye logon ko laal aatank se
nata tod kr mukhya dhara me vapas aane ke liye kai kayakram chalaye ja rhe hai
kass sabhi aise log sudhar jaye kitna accha hoga..
Bus yahi
sonch aap sabhi ke samne rkh rha hu btaiyega mera ye vichar kanha tk sanhi hai
jarur Tippani kre…..