Humare Pradhan mantri manniya shri Narendra modi ji ne Bharat
varsh ko swakcchh aur ODF bnanae ke liye ek abhiyan ki shuruvat kiya hai. Joki
humare rastrapita Mahatma Gandhi ji ka sapna hai use sakar bnane ke liye sakar
kadam uthaye ja rhe hai pr humara bhi farj banta hai ki hum bhi swachchh rhe
aur apne aaspas ke vatavaran ko swaksh bnane ka prayas kre.
Purane jmane se hi swachchhata ko lekar vedo purano aur upnishdo me kaha
gya hai. Ek tathya ye bhi hai ki janha gandagi hoti hai vanha dhan ki devi
nivash nhi krti hai. Waykai me kitni saralta se yah bat btaya gya hai ki hum
daridrata ke ghere me rhenge to hum kbhi swasth nhi rhenge aur swasth nhi
rhenge to hum dhan ka arjan kaise kr payenge. Ye vichar apko krna hai ki hum
swasth rhe ya ki sirf dikhawa hi krte rhenge.
Maine dekha hai log aaj kal swachchhata ke prati jagruk to ho rhe hai.
Accha lgta hai jagaho ko saf dekh kr. Mai kisi roj apne Pradesh ki rajdhani
Raipur gya tha vanha pr station me ek cleaner ka kam krne vale koi anjan sa adami
tha use sabasi de rha tha accha lga mn me vichar aaya ki han chalo ab log jo
safai ka kam krnevale safaikarmiyo ko ab samman dene lge hai. Sukun sa mahsus
hu. Ankhir is duniya me yahi to sukun hai ki ek inshan dusare inshan ke acche
kam ko dekh kr sabasi de rha hai. School me bhi yahi sab kuchh dekhne ko mil
rha hai accha lgta hai ki han chalo bacche jo ane vale nayi pidhi hai vo
swakshata ke prati jagruk hai. Maine dekha ki koi ek mahila apne bacche ke sath
safar kr rhi thi. Unhone apne pars se chochlate nikali aur bacche ke hath me de
di bacche ne pahle chochlet khaya fir uska repar apne jeb me rakhne lga. Tabhi
vo mahila chillai ki kya kr rha hai bevkufi ka kam mt kiya kro nhi to marungi.
Ise rod me fek do. Bacche ne bade hi salinta se mummy ko samjhaya ki maa rod
bhi to apna hai ye sahar bhi to apna hai kya hum apne ghar ka kachra apne angan
me fekte hai nhi na. to kya ye rod ye sahar ye park ye bus stand ye school sb
kya apna nhi hai agar ye kachara mai dustbin me dalunga to ye kachra sahar se
dur dumping yard tk pahuch jayega aur yahi fek diya to mera sahar ganda hoga.
Km se km mai ye kachara nhi dalunga to sahar ganda nhi hoga. Aur aise hi sb
sochenge to sahar saff aur swachchha hoga.
Sachem kitni sacchai thi us nanhe balak ke
bato me aiye thoda swachchhta hum bhi kre apne sahar ko……………………………………..
Apka
Pukhraj yadav