Aaj subah ki bat hai hum kuchh dost morning walk
pr nikal rhe the. Humne dekha ki ek nanha sa pappy pta nhi kyu langda kr chal
rha tha maine socha ki kyun na pass jakr uska halat dekha jaye. Mai pass gya
dekha uff kisi ne pappy(dog) ko bdi hi buri tarh se patthar mara tha. Isliye vo
thik se chal nhi pa rha tha socha ki use hantho me utha lu pr sayad vo dar rha
tha. Use ahsas tha ki insano ne uske sath kya kiya ho na ho ye bhi ishan hai
najane ab ye kis pair ko tod de vo pappi aisa soch rha tha. Thoda vo darr ke
sath virodh ka bhi gurratte huye mujhe darrane ki koisis kr rha tha. Mere dosto
ne kaha ki ya bhai ye kaise log hai is duniya me yar jo iss pappy pr bhi
atyachar se baj nhi aate hai na jane kis chij ki dusmani nikelte hai hum sb pta
nhi yar.
Hum log us pappy ko ghar le aaye
uska ilaz karaya aur vo thoda tik hua pr mere mn me vicharo ke sailab ka tuffan
tha sochne lga ki kyu aisa hua ki log us nannhe se pappy ko marne pr tule huye
the tbhi ek aur vichar mn me aaya ki hum to sirf apni hi kadra krte h banki
kisi ki bilkul nhi krte hai. Jaise ghar me koi sanp aa jaye to hume aisa lgta
hai jaise ki koi bda dusmn aa gya ho . lathi danda jo bhi mile use lekr marne
lg jate hai kbi yah nhi sochte ke uska bhi koi parivar hoga. Uska bhi koi
intezar krta hoga yah kbhi nhi sochte hum log. Humare apne kisi ko jra sa bhi bukhar hi kyu na ho hume lgta hai
ki jaise koi phad tut pda ho parivar pr aisa sochte hai pr hum jo janvaro pr
atyachar karte hai uska koi bhi dhyan nhi rkhte kitna dukhad vichar hai…
sochiye jra……..
Vichar
badlo- Duniya badlo