Kuchh gaono
ki khak chhan rha hu. Kuchh mahine pahle mai Jharkhand ke jangal vale kshetro
ki orr ghum rha tha vanha kai jagah aise
bhi mile janha aaj bhi manornjan ke sanshadhan bahut hi k m hai logo ke samjik
parivesh me dainik vastuo ke jugad ke liye chhote chhote bajar hi hi. Vahi kisi
gaon me pahucha vnh pr mnornjan ke liye un logo me dekha bda hi manorm khel ka
ayojn hota hai usme do alag &alag team ki or se murge ki ladai kraya jata
hai such me vanha ka mahoul hi juda hota hai logon me alag hi utsah hota hi
jaise mano koi bda dangl ho rha ho wh ye bhi khel bda hi rochak hai.. mujhe lga
ki sayad hota hoga krke pr aise khel ko
ki rjyon me dekhajaise Chhattisgarh ke bihad ke ilako me bhi ye mnoranjan ke
khelo ka aayojan hota hai… vaise hi Maharastra me bhi kuchh kshetro me bhi ye
khel hota hai……
Pr sahib mujhe kbhi
kbhi thoda darrd bhi hota hai. Ki kya un pakshiyo se aise aapas me lagna kanha
tk sahi hota hai vahi main eek aur obzervetion kiya ki spen jaise desho me bhi
sandh (bail) ko lal rang dikha kr unhe bhadkaya jata hi bda hi khatrnak mahoul
hota hi lakho ki bhid me log vanha phuchte hai aur jor jor se chierup krte hai.
Is khel ko Bullfight kaha jata hai. Kai bar ye bhi dekh gya hi ki bullfighter
is khel ke douran hi ghayal ho jate hai aur kbhi kbhi dukhad ghatnaye bhi hoti
hi hai…. Sahib mn me vichar aata hai aise “Dangal” se mnoranjan krna sahi hai
ya galat vichar aapka hai aap hi sociye mere mn ke vicharo ko bus likh rha hu…….
Wah! Dangal