Dahej: ek
Dayan
Dahej aaj
samaj me faila ek abhi saap se km nhi hai.. dahej ko us dayan ki sangya di ja
sakti hai jo hmesa hi ghar ujad deti hai.. aaj bhi aise hi dayan ke saye me
humara samaj humara desh ghira huaa hai.. kisi ke ghar me ek ladki paida hui
nhi ki uske shadi ke sonch pita aur mata dono ko khane lgta hai.. vo ye nhi
sochte ki soubhagya se beti hui balki ye sochne lgte hai ki iski shsdi me itna
kharcha aayega aur Dahej ka saman jutana pdega.. uff ye rudhivadi vichar dhara
kya kahu logon ko lgta hai ki dahej nhi diya to such se humari beti sasural me
nhi rhegi. Sahab bda darrd hota hai jab koi beti dahej ke liye jalayi jati hai
use mansik yatnaye di jati hai.. ankhir kyu kya kbhi yemn me khyal nhi aat hai
kya un dahej kea ad me danka dalne valo ko ki kya humare ghar koi beti nhi
hogi.. sahab ek gaon ka ullekh krna chahunga Rajasthan me ek gaon hai janha
kahte hai 60 salo me ek bhi ghar barat nhi aaya hai jitna bhi shadi us gaon me
hua hai vanha sirf ladke hai unka hi barat gya hai.. kya ye ho skta hai ki us
gaon me koi ladki nhi janmi hai kya. To fir vanha agar ladki janmi to fir kanha
hai sacchai ye hai ki us gaon me log dahez ke darr se betiyo ki hatya kokh me
hi kr dete hai. Kitna dukh hota hai ye soch kr bhi pr kya dahez itni bdi bla
hai ki hum usse par nhi pa sakte hai.. kab tk betiya dahez ken am pr jalayi aur
mar di jati rhengi.. aap aur hum aur aane vali ye nayi pidhi ko sochna chahiye
ki kya ye sahi hai.. aaiye is dahez rupi kodh ki bimari ko aise khatm kre ki ye
sirf kaagal ke panno me hi rh jaye… Kashmir se kanyakumari tk aur Gujrat se
aasam tk ye burai faila hua hai ise dur krna bahut jaruri hai aaiye ek kadam
bdhaye
Dahej lena aur Dena dono apradh hai aaaiye is dayan rupi samajik burai
ko dur bagaye aur nya janha bnaye